adu ki bazm mein ai bazm ye shab to basar kar lo
adu ki bazm mein ai bazm ye shab to basar kar lo
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
adū kī bazm meñ ai 'bazm' ye shab to basar kar lo
agar dekhā nahīñ jaatā to muñh apnā udhar kar lo
evaz ulfat ke dil hai faisla bāham-digar kar lo
razā ke saath hai saudā na Dar kar do na Dar kar lo
bigaḌne kā bhalā hai vasl kī sohbat meñ kyā mauqa
badī ye kab thī aise meñ tum apnā muñh udhar kar lo
fanā honā hai jab ġham aur ḳhushī phir sab barābar hai
jahāñ meñ chaar din kī ziist kaisī hī basar kar lo
ḳhushā-shoḳhī dupaTTa jab haTā siine se farmāyā
tumheñ merī qasam hai muñh na apnā gar udhar kar lo
jab apne ġham kā qissa baiThtā huuñ un se kahne ko
to kahte haiñ lab apne ḳhushk kar lo chashm tar kar lo
ishāre par tumhāre chal rahā hai ālam-e-imkāñ
usī jānib ho sab kā ruḳh tum apnā muñh jidhar kar lo
shikāyat jab kabhī jaur-o-jafā kī un se kartā huuñ
to saḳhtī se ye farmāte haiñ patthar kā jigar kar lo
bharosa us kī rahmat par hai jab zāhid to phir kyā hai
hasīnoñ ko to zinda rah ke lo hūroñ ko mar kar lo
bahut kār-e-aham hai kāTnā āshiq kī gardan kā
uThāo teġh phir pahle nazākat par nazar kar lo
pahuñch kar sāmne un ke na phir āvāz niklegī
yahāñ ai hazrat-e-dil jitnā chāho shor-o-shar kar lo
tumhārā yaañ se jaanā 'bazm' se dekhā na jā.egā
sahar furqat kī aa pahuñchī abhī se muñh udhar kar lo
adu ki bazm mein ai 'bazm' ye shab to basar kar lo
agar dekha nahin jata to munh apna udhar kar lo
ewaz ulfat ke dil hai faisla baham-digar kar lo
raza ke sath hai sauda na Dar kar do na Dar kar lo
bigaDne ka bhala hai wasl ki sohbat mein kya mauqa
badi ye kab thi aise mein tum apna munh udhar kar lo
fana hona hai jab gham aur KHushi phir sab barabar hai
jahan mein chaar din ki zist kaisi hi basar kar lo
KHusha-shoKHi dupaTTa jab haTa sine se farmaya
tumhein meri qasam hai munh na apna gar udhar kar lo
jab apne gham ka qissa baiThta hun un se kahne ko
to kahte hain lab apne KHushk kar lo chashm tar kar lo
ishaare par tumhaare chal raha hai aalam-e-imkan
usi jaanib ho sab ka ruKH tum apna munh jidhar kar lo
shikayat jab kabhi jaur-o-jafa ki un se karta hun
to saKHti se ye farmate hain patthar ka jigar kar lo
bharosa us ki rahmat par hai jab zahid to phir kya hai
hasinon ko to zinda rah ke lo huron ko mar kar lo
bahut kar-e-aham hai kaTna aashiq ki gardan ka
uThao tegh phir pahle nazakat par nazar kar lo
pahunch kar samne un ke na phir aawaz niklegi
yahan ai hazrat-e-dil jitna chaho shor-o-shar kar lo
tumhaara yan se jaana 'bazm' se dekha na jaega
sahar furqat ki aa pahunchi abhi se munh udhar kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.