adu to chhoD diye KHair-KHwah mar diye
adū to chhoḌ diye ḳhair-ḳhvāh maar diye
muhāfizoñ ne ka.ī be-gunāh maar diye
bahut satā.e hue lashkaroñ kī haibat ne
darūn-e-qasr ka.ī bādshāh maar diye
lahū taḌapne lagā hai ki surḳh noToñ ne
bharī kach.harī meñ saare gavāh maar diye
añdherā jab bhī baḌhāyā gayā zamāne meñ
charāġh-e-haq ne sabhī rū-siyāh maar diye
jab aa.ī baat kabhī hamsarī se masnad par
to sarbarāhoñ ne kuchh sarbarāh maar diye
nahīñ hai vaqt sā 'ādil' koī yahāñ jis ne
kulāheñ rol diiñ aur kaj-kulāh maar diye
adu to chhoD diye KHair-KHwah mar diye
muhafizon ne kai be-gunah mar diye
bahut satae hue lashkaron ki haibat ne
darun-e-qasr kai baadshah mar diye
lahu taDapne laga hai ki surKH noTon ne
bhari kachhari mein sare gawah mar diye
andhera jab bhi baDhaya gaya zamane mein
charagh-e-haq ne sabhi ru-siyah mar diye
jab aai baat kabhi hamsari se masnad par
to sarbarahon ne kuchh sarbarah mar diye
nahin hai waqt sa 'adil' koi yahan jis ne
kulahen rol din aur kaj-kulah mar diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.