aflak se TuTe hue tare pe chale aae
aflāk se TuuTe hue taare pe chale aa.e
is dasht meñ ham kis ke ishāre pe chale aa.e
us roz to dariyā kī ravānī hī ajab thī
patvār sabhī ek hī dhāre pe chale aa.e
do-laḳht kiye jā.eñge ma.alūm thā phir bhī
kuchh log baḌe shauq se aare pe chale aa.e
har vaqt jise kāTtā rahtā hai samundar
kyā soch ke ham aise kināre pe chale aa.e
kuchh log the har vaqt munāfa kī talab meñ
anjām ye niklā ki ḳhasāre pe chale aa.e
aflak se TuTe hue tare pe chale aae
is dasht mein hum kis ke ishaare pe chale aae
us roz to dariya ki rawani hi ajab thi
patwar sabhi ek hi dhaare pe chale aae
do-laKHt kiye jaenge malum tha phir bhi
kuchh log baDe shauq se aare pe chale aae
har waqt jise kaTta rahta hai samundar
kya soch ke hum aise kinare pe chale aae
kuchh log the har waqt munafa ki talab mein
anjam ye nikla ki KHasare pe chale aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.