afsana chahte the wo afsana ban gaya
afsāna chāhte the vo afsāna ban gayā
maiñ husn-e-ittifāq se dīvāna ban gayā
vo ik nigāh dekh ke ḳhud bhī haiñ sharmsār
nā-āgahī meñ yūñhī ik afsāna ban gayā
mauj-e-havā se zulf jo lahrā ga.ī tirī
merā shu.ūr laġhzish-e-mastāna ban gayā
husn ek iḳhtiyār-e-mukammal hai aap ne
dīvāna kar diyā jise dīvāna ban gayā
zikr us kā guftugū meñ jo shāmil huā 'adam'
jo sher kah diyā vo parī-ḳhāna ban gayā
afsana chahte the wo afsana ban gaya
main husn-e-ittifaq se diwana ban gaya
wo ek nigah dekh ke KHud bhi hain sharmsar
na-agahi mein yunhi ek afsana ban gaya
mauj-e-hawa se zulf jo lahra gai teri
mera shuur laghzish-e-mastana ban gaya
husn ek iKHtiyar-e-mukammal hai aap ne
diwana kar diya jise diwana ban gaya
zikr us ka guftugu mein jo shamil hua 'adam'
jo sher kah diya wo pari-KHana ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.