afsana-e-gham yun bhi dil-e-zar kaha hai
afsāna-e-ġham yuuñ bhī dil-e-zār kahā hai
ik baar jo pūchhā hai to sau baar kahā hai
jo baat tirī bazm meñ ham kah na sake the
us baat ko logoñ ne sar-e-dār kahā hai
mamnūn haiñ us shoḳh ke ai bād-e-sabā ham
phūloñ kī zabānī jo hameñ pyaar kahā hai
mumkin hai usī raah se manzil pe pahuñch jaa.eñ
dil vāloñ ne jis raah ko dushvār kahā hai
vo faḳhr-e-masīhā hai magar ahl-e-ḳhirad ne
hairat hai use nargis-e-bīmār kahā hai
arzāñ huī yuuñ jins-e-mohabbat ki jahāñ meñ
ham se tahī-dāmāñ ko ḳharīdār kahā hai
afsana-e-gham yun bhi dil-e-zar kaha hai
ek bar jo puchha hai to sau bar kaha hai
jo baat teri bazm mein hum kah na sake the
us baat ko logon ne sar-e-dar kaha hai
mamnun hain us shoKH ke ai baad-e-saba hum
phulon ki zabani jo hamein pyar kaha hai
mumkin hai usi rah se manzil pe pahunch jaen
dil walon ne jis rah ko dushwar kaha hai
wo faKHr-e-masiha hai magar ahl-e-KHirad ne
hairat hai use nargis-e-bimar kaha hai
arzan hui yun jins-e-mohabbat ki jahan mein
hum se tahi-daman ko KHaridar kaha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.