afsana-e-hayat ko dohra rahe hain hum
afsāna-e-hayāt ko dohrā rahe haiñ ham
apne kiye key aap sazā pā rahe haiñ ham
ai chashm-e-yār terī nigāhoñ kā shukriya
ab zindagī-o-maut ko bahlā rahe haiñ ham
chheḌā thā ham ne zikr kisī bazm-e-nāz kā
kahne lage vo hans ke chalo aa rahe haiñ ham
ye rahguzar hai kaun sī kuchh sūjhtā nahīñ
ai be-ḳhudī batā ki kahāñ jā rahe haiñ ham
chheḌā jo ham ne raah meñ zāhid ne ye kahā
phir aaj mai-kade key taraf jā rahe haiñ ham
tārīk rahguzar ne baḌe faḳhr se kahā
ab 'raushnī' ke giit ġhazal gā rahe haiñ ham
afsana-e-hayat ko dohra rahe hain hum
apne kiye key aap saza pa rahe hain hum
ai chashm-e-yar teri nigahon ka shukriya
ab zindagi-o-maut ko bahla rahe hain hum
chheDa tha hum ne zikr kisi bazm-e-naz ka
kahne lage wo hans ke chalo aa rahe hain hum
ye rahguzar hai kaun si kuchh sujhta nahin
ai be-KHudi bata ki kahan ja rahe hain hum
chheDa jo hum ne rah mein zahid ne ye kaha
phir aaj mai-kade key taraf ja rahe hain hum
tarik rahguzar ne baDe faKHr se kaha
ab 'raushni' ke git ghazal ga rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.