afsana-e-junun-e-mohabbat sunae kaun
afsāna-e-junūn-e-mohabbat sunā.e kaun
aañsū bahā.e kaun kisī ko rulā.e kaun
māñgeñ panāh jis kī nigāhoñ se bijliyāñ
us kī nazar se apnī nazar ko milā.e kaun
hai chaak chaak pairahan-e-gul bahār meñ
kāñToñ se dāman apnā chaman meñ bachā.e kaun
tere sivā hai kis meñ ye e.ajāz ai bahār
ġhunche ko phuul phuul ko gulshan banā.e kaun
'faizī' hai Dūbnā hī agar hāsil-e-vafā
girdāb-e-ġham se apnā safīna bachā.e kaun
afsana-e-junun-e-mohabbat sunae kaun
aansu bahae kaun kisi ko rulae kaun
mangen panah jis ki nigahon se bijliyan
us ki nazar se apni nazar ko milae kaun
hai chaak chaak pairahan-e-gul bahaar mein
kanTon se daman apna chaman mein bachae kaun
tere siwa hai kis mein ye eajaz ai bahaar
ghunche ko phul phul ko gulshan banae kaun
'faizi' hai Dubna hi agar hasil-e-wafa
girdab-e-gham se apna safina bachae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.