afsana-ha-e-dard sunate chale gae
afsana-ha-e-dard sunate chale gae
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
afsāna-hā-e-dard sunāte chale ga.e
ḳhud ro.e dūsroñ ko rulāte chale ga.e
bharte rahe alam meñ fusūn-e-tarab kā rañg
in talḳhiyoñ meñ zahr milāte chale ga.e
apne niyāz-e-shauq pe thā zindagī ko naaz
ham zindagī ke naaz uThāte chale ga.e
har apnī dāstāñ ko kahā dāstān-e-ġhair
yuuñ bhī kisī kā raaz chhupāte chale ga.e
maiñ jitnā un kī yaad bhulātā chalā gayā
vo aur bhī qarīb-tar aate chale ga.e
afsana-ha-e-dard sunate chale gae
KHud roe dusron ko rulate chale gae
bharte rahe alam mein fusun-e-tarab ka rang
in talKHiyon mein zahr milate chale gae
apne niyaz-e-shauq pe tha zindagi ko naz
hum zindagi ke naz uThate chale gae
har apni dastan ko kaha dastan-e-ghair
yun bhi kisi ka raaz chhupate chale gae
main jitna un ki yaad bhulata chala gaya
wo aur bhi qarib-tar aate chale gae
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 123)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.