Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

afsos ahl-e-ishq na ahl-e-nazar mile

Jauhar Zahiri

afsos ahl-e-ishq na ahl-e-nazar mile

Jauhar Zahiri

MORE BYJauhar Zahiri

    afsos ahl-e-ishq na ahl-e-nazar mile

    jo ham-safar mile vo balā-e-safar mile

    dīvāngān-e-ishq mile jis qadar hameñ

    jaama darīda ḳhāk-basar chashm-e-tar mile

    kis se gila maiñ kātib-e-taqdīr karūñ

    naale mile to vo bhī mujhe be-asar mile

    aaya nahīñ jo koī tirī bazm-e-nāz meñ

    naqsh-e-qadam ye kis ke sar-e-rah-guzar mile

    us se na pūchh hāl-e-bahār-e-chaman jise

    nai rang-o-bū-e-gul mile nai bāl-o-par mile

    niyyat-ba-ḳhair manzil-e-maqsad qarīb thī

    nā-āshnā-e-rāh-e-vafā rāhbar mile

    'jauhar' ye rang badlā sar-e-manzil-e-hayāt

    vo rāhzan the raah meñ jo rāhbar mile

    afsos ahl-e-ishq na ahl-e-nazar mile

    jo ham-safar mile wo bala-e-safar mile

    diwangan-e-ishq mile jis qadar hamein

    jama darida KHak-basar chashm-e-tar mile

    kis se gila main katib-e-taqdir ka karun

    nale mile to wo bhi mujhe be-asar mile

    aaya nahin jo koi teri bazm-e-naz mein

    naqsh-e-qadam ye kis ke sar-e-rah-guzar mile

    us se na puchh haal-e-bahaar-e-chaman jise

    nai rang-o-bu-e-gul mile nai baal-o-par mile

    niyyat-ba-KHair manzil-e-maqsad qarib thi

    na-ashna-e-rah-e-wafa rahbar mile

    'jauhar' ye rang badla sar-e-manzil-e-hayat

    wo rahzan the rah mein jo rahbar mile

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now