afsos hai ki itni safai ke baad bhi
afsos hai ki itnī safā.ī ke baa'd bhī
kuchh daaġh rah ga.e haiñ dhulā.ī ke baa'd bhī
duniyā tirī likhā.ī samajh meñ na aa sakī
an-paḌh rahe ham itnī paḌhā.ī ke baa'd bhī
Daalī thī tum ne paañv meñ zanjīr jis jagah
baiThe haiñ ham vahīñ pe rihā.ī ke baa'd bhī
ye hausla bhī 'ishq ne ham ko 'atā kiyā
zinda haiñ dekh terī judā.ī ke baa'd bhī
sahrā tirā mizāj samajhnā thā is liye
ham chal rahe haiñ ābla-pā.ī ke baa'd bhī
dil ko jakaḌ ke baiThā hai ye kaun sā malāl
ham ḳhush nahīñ haiñ terī badhā.ī ke baa'd bhī
afsos hai ki itni safai ke ba'd bhi
kuchh dagh rah gae hain dhulai ke ba'd bhi
duniya teri likhai samajh mein na aa saki
an-paDh rahe hum itni paDhai ke ba'd bhi
Dali thi tum ne panw mein zanjir jis jagah
baiThe hain hum wahin pe rihai ke ba'd bhi
ye hausla bhi 'ishq ne hum ko 'ata kiya
zinda hain dekh teri judai ke ba'd bhi
sahra tera mizaj samajhna tha is liye
hum chal rahe hain aabla-pai ke ba'd bhi
dil ko jakaD ke baiTha hai ye kaun sa malal
hum KHush nahin hain teri badhai ke ba'd bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.