afsos uske hath mein KHanjar laga mujhe
afsos us ke haath meñ ḳhanjar lagā mujhe
jo shaḳhs apnī jaan se baḌh kar lagā mujhe
maiñ gir rahā thā dard kī shiddat se jā-ba-jā
saaqī ne jaam baḳhshā to behtar lagā mujhe
na chaah kar bhī aa gayā maidān-e-jang meñ
mere ḳhilāf jab mirā lashkar lagā mujhe
ik pal ko bhī sukūn na hāsil huā vahāñ
shahroñ se achchhā gaañv kā chhappar lagā mujhe
ta.ana-zanī se ho ga.e nāsūr qalb meñ
lahja mire raqīb kā nashtar lagā mujhe
tharrā rahā thā ḳhauf se jis dam mirā badan
tab june kā mahīna december lagā mujhe
ġhāfil huuñ nek kaam se ai nafs rahm kar
achchhā.iyoñ kī raah pe lā kar lagā mujhe
ab bhī qalam ravāñ hai zamāne guzar ga.e
terā vajūd fikr kā 'mehvar' lagā mujhe
afsos us ke hath mein KHanjar laga mujhe
jo shaKHs apni jaan se baDh kar laga mujhe
main gir raha tha dard ki shiddat se ja-ba-ja
saqi ne jam baKHsha to behtar laga mujhe
na chah kar bhi aa gaya maidan-e-jang mein
mere KHilaf jab mera lashkar laga mujhe
ek pal ko bhi sukun na hasil hua wahan
shahron se achchha ganw ka chhappar laga mujhe
tana-zani se ho gae nasur qalb mein
lahja mere raqib ka nashtar laga mujhe
tharra raha tha KHauf se jis dam mera badan
tab june ka mahina december laga mujhe
ghafil hun nek kaam se ai nafs rahm kar
achchhaiyon ki rah pe la kar laga mujhe
ab bhi qalam rawan hai zamane guzar gae
tera wajud fikr ka 'mehwar' laga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.