afsurdagi nikle na jab afsurda dilon se
afsurdagī nikle na jab afsurda diloñ se
bachne kī phir ik raah nikāleñge ragoñ se
sunte haiñ phir ik roz sunā.ī nahīñ detī
ye chīḳhne chillāne kī āvāz gharoñ se
us dil meñ magar dāḳhila mumkin nahīñ merā
mumkin hai nikal aa.eñ divāreñ hī daroñ se
har 'ishq ko hotī hai na.ī sub.h se kuchh raah
har hijr kā rahtā hai koī bair shaboñ se
darpesh un āñkhoñ ke jinheñ hosh thā 'anhad'
ābād haiñ maiḳhāne inhīñ be-adaboñ se
afsurdagi nikle na jab afsurda dilon se
bachne ki phir ek rah nikalenge ragon se
sunte hain phir ek roz sunai nahin deti
ye chiKHne chillane ki aawaz gharon se
us dil mein magar daKHila mumkin nahin mera
mumkin hai nikal aaen diwaren hi daron se
har 'ishq ko hoti hai nai subh se kuchh rah
har hijr ka rahta hai koi bair shabon se
darpesh un aankhon ke jinhen hosh tha 'anhad'
aabaad hain maiKHane inhin be-adabon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.