afzuni-e-mata-e-mohabbat na puchhiye
afzuni-e-mata-e-mohabbat na puchhiye
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
afzūnī-e-matā'-e-mohabbat na pūchhiye
kis se milī hai mujh ko ye daulat na pūchhiye
soz-e-firāq-e-yār kī lazzat na pūchhiye
kis darja ho rahī hai masarrat na pūchhiye
uTThā udhar naqāb idhar be-ḳhudī huī
dekhī jo aañkh ne vo haqīqat na pūchhiye
āñkhoñ meñ har ghaḌī hai surūr-e-jamāl-e-dost
kitnī ḳhushī hai kitnī masarrat na pūchhiye
armāñ umiid aarzū andoh aur alam
dil kyā hai ek markaz-e-āfat na pūchhiye
sab surḳh-rū haiñ sub.h-e-qayāmat huzūr-e-yār
kyoñ ho rahī hai mujh ko nadāmat na pūchhiye
afzuni-e-mata'-e-mohabbat na puchhiye
kis se mili hai mujh ko ye daulat na puchhiye
soz-e-firaq-e-yar ki lazzat na puchhiye
kis darja ho rahi hai masarrat na puchhiye
uTTha udhar naqab idhar be-KHudi hui
dekhi jo aankh ne wo haqiqat na puchhiye
aankhon mein har ghaDi hai surur-e-jamal-e-dost
kitni KHushi hai kitni masarrat na puchhiye
arman umid aarzu andoh aur alam
dil kya hai ek markaz-e-afat na puchhiye
sab surKH-ru hain subh-e-qayamat huzur-e-yar
kyon ho rahi hai mujh ko nadamat na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.