agar aah-e-rasa se kaam hum na-kaam lete hain
agar āh-e-rasā se kaam ham nā-kām lete haiñ
farishte pāya-e-arsh-e-mo.allā thaam lete haiñ
butoñ par koī mar jaa.e qazā kā naam lete haiñ
ye kāfir apne uupar kab koī ilzām lete haiñ
butoñ ke zikr par 'kaifī' kaleja thaam lete haiñ
koī pūchhe isī muñh se ḳhudā kā naam lete haiñ
asar merī vafā kā baa'd mere ye huā un par
mirā jab naam aatā hai kaleja thaam lete haiñ
tire armān dil meñ aa ke jam jaate haiñ kuchh aise
nikālo to nikalne kā nahīñ phir naam lete haiñ
paḌā rahne do apne sāya-e-dīvār meñ dam bhar
tumhāre dil-jale thak kar zarā ārām lete haiñ
havā hai abr hai gulzār hai mutrib hai saaqī hai
maza sāvan kā lete haiñ to mai-āshām lete haiñ
tumhārī bad-gumānī hī tumheñ badnām kartī hai
tumhāre marne vaale kab tumhārā naam lete haiñ
luTere haiñ hasīñ māshūq un ko kaun kahtā hai
zabardastī ye gāhak jin se dil be-dām lete haiñ
matā-e-dil ke badle bosa-e-lab kyoñ na leñ āshiq
ki chokhā maal dete haiñ karāre daam lete haiñ
tire naqsh-e-qadam ko chhū ke sar par kaun aafat le
hazāroñ fitna-e-mahshar yahāñ ārām lete haiñ
ham apne ghar meñ bāteñ karte haiñ tum ko ḳhalish kyoñ hai
shikāyat dil se karte haiñ kisī kā naam lete haiñ
ḳhushī manzūr hai un kī zabāñ se kuchh nahīñ kahte
na pūchho dil pe kyā kyā morid-e-ālām lete haiñ
agar aah-e-rasa se kaam hum na-kaam lete hain
farishte paya-e-arsh-e-moalla tham lete hain
buton par koi mar jae qaza ka nam lete hain
ye kafir apne upar kab koi ilzam lete hain
buton ke zikr par 'kaifi' kaleja tham lete hain
koi puchhe isi munh se KHuda ka nam lete hain
asar meri wafa ka ba'd mere ye hua un par
mera jab nam aata hai kaleja tham lete hain
tere arman dil mein aa ke jam jate hain kuchh aise
nikalo to nikalne ka nahin phir nam lete hain
paDa rahne do apne saya-e-diwar mein dam bhar
tumhaare dil-jale thak kar zara aaram lete hain
hawa hai abr hai gulzar hai mutrib hai saqi hai
maza sawan ka lete hain to mai-asham lete hain
tumhaari bad-gumani hi tumhein badnam karti hai
tumhaare marne wale kab tumhaara nam lete hain
luTere hain hasin mashuq un ko kaun kahta hai
zabardasti ye gahak jin se dil be-dam lete hain
mata-e-dil ke badle bosa-e-lab kyon na len aashiq
ki chokha mal dete hain karare dam lete hain
tere naqsh-e-qadam ko chhu ke sar par kaun aafat le
hazaron fitna-e-mahshar yahan aaram lete hain
hum apne ghar mein baaten karte hain tum ko KHalish kyon hai
shikayat dil se karte hain kisi ka nam lete hain
KHushi manzur hai un ki zaban se kuchh nahin kahte
na puchho dil pe kya kya morid-e-alam lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.