agar aashiq koi paida na hota
agar āshiq koī paidā na hotā
to māshūqoñ kā ye charchā na hotā
garebāñ chaak kar rote kahāñ ham
agar ye dāman-e-sahrā na hotā
sadā rahtī tavaqqo bulbuloñ ko
agar ye ġhuncha-e-gul vā na hotā
judā.ī meñ agar āñkheñ na rotīñ
to hargiz rāz-e-dil ifshā na hotā
'fuġhāñ' kaun ab ḳharīdār-e-suḳhan thā
agar ye hazrat-e-saudā na hotā
agar aashiq koi paida na hota
to mashuqon ka ye charcha na hota
gareban chaak kar rote kahan hum
agar ye daman-e-sahra na hota
sada rahti tawaqqo bulbulon ko
agar ye ghuncha-e-gul wa na hota
judai mein agar aankhen na rotin
to hargiz raaz-e-dil ifsha na hota
'fughan' kaun ab KHaridar-e-suKHan tha
agar ye hazrat-e-sauda na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.