Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar ai nasim-e-sahar tera ho guzar dayar-e-hijaz mein

Akhtar Shirani

agar ai nasim-e-sahar tera ho guzar dayar-e-hijaz mein

Akhtar Shirani

agar ai nasīm-e-sahar tirā ho guzar dayār-e-hijāz meñ

mirī chashm-e-tar salām kahnā huzūr-e-banda-navāz meñ

tumheñ hadd-e-aql na sakī faqat itnā haal batā sakī

ki tum ek jalva-e-rāz the jo ayaañ thā rañg-e-hijāz meñ

ajab ik surūr chhā gayā merī rūh-o-dil meñ samā gayā

tirā naam naaz se aa gayā mire lab pe jab bhī namāz meñ

na jahāñ meñ rāhat-e-jāñ milī na matā-e-amn-o-amāñ milī

jo davā-e-dard-e-nihāñ milī to milī bahisht-e-hijāz meñ

karūñ nazr naġhma-e-jāñ-fazā maiñ kahāñ se 'aḳhtar'-e-ġham-navā

ki sivā.e nāla-e-ġham nahīñ mire dil ke ġham-zada saaz meñ

agar ai nasim-e-sahar tera ho guzar dayar-e-hijaz mein

meri chashm-e-tar ka salam kahna huzur-e-banda-nawaz mein

tumhein hadd-e-aql na pa saki faqat itna haal bata saki

ki tum ek jalwa-e-raaz the jo ayan tha rang-e-hijaz mein

ajab ek surur sa chha gaya meri ruh-o-dil mein sama gaya

tera nam naz se aa gaya mere lab pe jab bhi namaz mein

na jahan mein rahat-e-jaan mili na mata-e-amn-o-aman mili

jo dawa-e-dard-e-nihan mili to mili bahisht-e-hijaz mein

karun nazr naghma-e-jaan-faza main kahan se 'aKHtar'-e-gham-nawa

ki siwae nala-e-gham nahin mere dil ke gham-zada saz mein

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now