agar baat teri ho pyari lage
Interesting Fact
Following the meter & rhyme scheme of the poet Wali Aurangabadi
agar baat terī ho pyārī lage
jo ho baat karnā to bhārī lage
tire haath hī se atā ho jo terī
to thoḌī sī bhī mujh ko saarī lage
dam-e-sub.h taare se sūraj nishāñ
unheñ barg-e-gul kī amārī lage
koī chāhe luuTe maze yaañ ke yaañ
mujhe zindagī marg yaarī lage
samundar se pyāse ko ai 'shāh'-jī
mazā naddiyoñ kā bhī khārī lage
agar baat teri ho pyari lage
jo ho baat karna to bhaari lage
tere hath hi se ata ho jo teri
to thoDi si bhi mujh ko sari lage
dam-e-subh tare se suraj nishan
unhen barg-e-gul ki amari lage
koi chahe luTe maze yan ke yan
mujhe zindagi marg yari lage
samundar se pyase ko ai 'shah'-ji
maza naddiyon ka bhi khaari lage
- Book : Shab Aaftaab (Pg. 92)
- Author : Shah Husain Nahri
- Publication : Nawa-e-deccan Publications, Aurangabad (M.S.) (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.