agar bij rangon ka boya na hota
agar biij rañgoñ kā boyā na hotā
mujhe ishq ne yuuñ Duboyā na hotā
hazāroñ ne mil ke akele ko maarā
agar ek hotā to khoyā na hotā
tujhe dafn kar ke ye dil kah rahā hai
hamesha kī tū niiñd soyā na hotā
mujhe zindagī yūñhī be-kār lagtī
tirā pyaar man meñ samoyā na hotā
mohabbat meñ shāyad kamī rah hī jaatī
agar tū gale lag ke royā na hotā
agar bij rangon ka boya na hota
mujhe ishq ne yun Duboya na hota
hazaron ne mil ke akele ko mara
agar ek hota to khoya na hota
tujhe dafn kar ke ye dil kah raha hai
hamesha ki tu nind soya na hota
mujhe zindagi yunhi be-kar lagti
tera pyar man mein samoya na hota
mohabbat mein shayad kami rah hi jati
agar tu gale lag ke roya na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.