agar dariya koi rishta rawani se nahin rakhta
agar dariyā koī rishta ravānī se nahīñ rakhtā
to itnī aabrū vo sirf paanī se nahīñ rakhtā
agar kirdār hotā vo zarā bhī mere matlab kā
to maiñ us ko judā apnī kahānī se nahīñ rakhtā
maiñ aksar dostoñ ko apnā dushman hī samajhtā huuñ
bharosa hī kisī par bad-gumānī se nahīñ rakhtā
ḳhudā kā shukr karnā chāhiye vo apne bandoñ ko
kabhī mahrūm apnī mehrbānī se nahīñ rakhtā
maiñ apnī tishnagī meñ bhī bahut sairāb rahtā huuñ
lab-e-dariyā bhī rah kar rabt paanī se nahīñ rakhtā
buḌhāpā aa gayā to rabt rakhtā huuñ buḌhāpe se
javānī jā chukī rishta javānī se nahīñ rakhtā
agar dariya koi rishta rawani se nahin rakhta
to itni aabru wo sirf pani se nahin rakhta
agar kirdar hota wo zara bhi mere matlab ka
to main us ko juda apni kahani se nahin rakhta
main aksar doston ko apna dushman hi samajhta hun
bharosa hi kisi par bad-gumani se nahin rakhta
KHuda ka shukr karna chahiye wo apne bandon ko
kabhi mahrum apni mehrbani se nahin rakhta
main apni tishnagi mein bhi bahut sairab rahta hun
lab-e-dariya bhi rah kar rabt pani se nahin rakhta
buDhapa aa gaya to rabt rakhta hun buDhape se
jawani ja chuki rishta jawani se nahin rakhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.