agar dil humse diwane na denge
agar dil ham se dīvāne na deñge
to degā kaun farzāne na deñge
tumheñ ab dil meñ ham aane na deñge
agar aa.e to phir jaane na deñge
batā ai sham' kis ġham meñ jalegī
agar jaañ tujh pe parvāne na deñge
kahāñ hoñge bhalā tā'mīr kā'be
jagah un ko jo mai-ḳhāne na deñge
rahegī dil hī dil meñ baat dil kī
kisī ko ham ye afsāne na deñge
bahut dekhā hai ham ne un kā vā'da
unheñ ab dil ko bahkāne na deñge
vo sham'-rū agar mahfil meñ aa.e
to us ko raah parvāne na deñge
tirī mahfil meñ ahl-e-dil agar haiñ
to kyā vo dil ke nazrāne na deñge
maleñge aap bhī dast-e-ta.assuf
agar ham ko sukūñ paane na deñge
tirī mahfil meñ jo sardār Thahre
vahī ik sar ke nazrāne na deñge
'amar' hote haiñ vo bhī ek sayyād
jo daana Daal kar khāne na deñge
agar dil hum se diwane na denge
to dega kaun farzane na denge
tumhein ab dil mein hum aane na denge
agar aae to phir jaane na denge
bata ai sham' kis gham mein jalegi
agar jaan tujh pe parwane na denge
kahan honge bhala ta'mir ka'be
jagah un ko jo mai-KHane na denge
rahegi dil hi dil mein baat dil ki
kisi ko hum ye afsane na denge
bahut dekha hai hum ne un ka wa'da
unhen ab dil ko bahkane na denge
wo sham'-ru agar mahfil mein aae
to us ko rah parwane na denge
teri mahfil mein ahl-e-dil agar hain
to kya wo dil ke nazrane na denge
malenge aap bhi dast-e-tassuf
agar hum ko sukun pane na denge
teri mahfil mein jo sardar Thahre
wahi ek sar ke nazrane na denge
'amar' hote hain wo bhi ek sayyaad
jo dana Dal kar khane na denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.