agar dil ishq sin ghafil raha hai
agar dil ishq siiñ ġhāfil rahā hai
to apne fan meñ nā-qābil rahā hai
dil o diiñ se to guzrā ab ḳhudī chhoḌ
ghar us mah kā ab ik manzil rahā hai
judā.ī ke kare tadbīr ab kaun
ye dil thā so usī siiñ mil rahā hai
na bāñdho said rahne kā nahīñ baaz
dil apnī harkatoñ siiñ hal rahā hai
misl-e-barq duniyā se guzar jā
itā kyuuñ is meñ be-hāsil rahā hai
nahīñ tazmīn kā zauq 'ābrū' ko
kahāñ us kuuñ dimāġh o dil rahā hai
agar dil ishq sin ghafil raha hai
to apne fan mein na-qabil raha hai
dil o din se to guzra ab KHudi chhoD
ghar us mah ka ab ek manzil raha hai
judai ke kare tadbir ab kaun
ye dil tha so usi sin mil raha hai
na bandho said rahne ka nahin baz
dil apni harkaton sin hal raha hai
misl-e-barq duniya se guzar ja
ita kyun is mein be-hasil raha hai
nahin tazmin ka zauq 'abru' ko
kahan us kun dimagh o dil raha hai
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 281)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.