agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae
agar fitrat kā har andāz bebākāna ho jaa.e
hujūm-e-rañg-o-bū se aadmī dīvāna ho jaa.e
karam kaisā sitam se bhī na vo begāna ho jaa.e
maiñ Dartā huuñ mohabbat meñ kahīñ aisā na ho jaa.e
mujhe us anjuman meñ baar pā kar is pe ḳhadsha hai
mirā andāz-e-betābī na gustāḳhāna ho jaa.e
nigāh-e-mast saaqī kī tilism-e-rañg-o-mastī hai
kahīñ paimāna ban jaa.e kahīñ mai-ḳhāna ban jaa.e
yahāñ bhī kuchh nigāheñ tishna-e-dīdār haiñ saaqī
idhar bhī ek daur-e-nargis-e-mastāna ho jaa.e
maiñ us mahfil kī tohmat kis tarah āḳhir uThā.ūñgā
ḳhamoshī bhī jahāñ afsāna-dar-afsāna ho jaa.e
naqāb ulTe hue ik roz agar vo ḳhud chale aa.eñ
siyah-ḳhāna mirā 'māhir' tajallī-ḳhāna ho jaa.e
agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae
hujum-e-rang-o-bu se aadmi diwana ho jae
karam kaisa sitam se bhi na wo begana ho jae
main Darta hun mohabbat mein kahin aisa na ho jae
mujhe us anjuman mein bar pa kar is pe KHadsha hai
mera andaz-e-betabi na gustaKHana ho jae
nigah-e-mast saqi ki tilism-e-rang-o-masti hai
kahin paimana ban jae kahin mai-KHana ban jae
yahan bhi kuchh nigahen tishna-e-didar hain saqi
idhar bhi ek daur-e-nargis-e-mastana ho jae
main us mahfil ki tohmat kis tarah aaKHir uThaunga
KHamoshi bhi jahan afsana-dar-afsana ho jae
naqab ulTe hue ek roz agar wo KHud chale aaen
siyah-KHana mera 'mahir' tajalli-KHana ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.