agar hai hausla aao chalo uDan bhi lo
agar hai hausla aao chalo uḌaan bhī lo
magar zarūrī hai dushvāriyoñ ko jaan bhī lo
qadam-qadam pe nayā pul-sirāt miltā hai
bahut kaThin hai mohabbat kī raah maan bhī lo
chanā akelā kahāñ bhaaḌ phoḌ paatā hai
tumhāre haath meñ hai tiir to kamān bhī lo
ye khet mere haiñ mehnat bhī mere kumbe kī
ye baat Thiik nahīñ mujh se tum lagān bhī lo
agar hai hausla aao chalo uDan bhi lo
magar zaruri hai dushwariyon ko jaan bhi lo
qadam-qadam pe naya pul-siraat milta hai
bahut kaThin hai mohabbat ki rah man bhi lo
chana akela kahan bhaD phoD pata hai
tumhaare hath mein hai tir to kaman bhi lo
ye khet mere hain mehnat bhi mere kumbe ki
ye baat Thik nahin mujh se tum lagan bhi lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.