agar hain zaKHm to KHanjar bhi hoga
agar haiñ zaḳhm to ḳhanjar bhī hogā
ye manzar hai to pas-manzar bhī hogā
koī khanDar agar dekho to socho
kabhī ābād to ye ghar bhī hogā
maiñ sach bolūñgā lekin ye batāo
mire shānoñ pe merā sar bhī hogā
chalo sher-o-suḳhan kī anjuman meñ
vahāñ shāyad rashīd 'aḳhtar' bhī hogā
agar hain zaKHm to KHanjar bhi hoga
ye manzar hai to pas-manzar bhi hoga
koi khanDar agar dekho to socho
kabhi aabaad to ye ghar bhi hoga
main sach bolunga lekin ye batao
mere shanon pe mera sar bhi hoga
chalo sher-o-suKHan ki anjuman mein
wahan shayad rashid 'aKHtar' bhi hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.