agar hum chhoD den arz-e-hunar KHamosh ho jaen
agar ham chhoḌ deñ arz-e-hunar ḳhāmosh ho jaa.eñ
hamāre saath ye dīvār-o-dar ḳhāmosh ho jaa.eñ
isī baa.is to hoñToñ par savāl ab tak nahīñ aayā
kahīñ aisā na ho ye chārāgar ḳhāmosh ho jaa.eñ
tilism-e-be-yaqīnī har qadam par gher letā hai
na jaane dhaḌkaneñ kis moḌ par ḳhāmosh ho jaa.eñ
agar be-chehra ā.īne ko chehra de nahīñ sakte
to saare shahr ke ā.īna-gar ḳhāmosh ho jaa.eñ
zamīñ se be-vafā.ī mat karo varna ye mumkin hai
ki shāḳheñ kaT rahī hoñ aur shajar ḳhāmosh ho jaa.eñ
agar hum chhoD den arz-e-hunar KHamosh ho jaen
hamare sath ye diwar-o-dar KHamosh ho jaen
isi bais to honTon par sawal ab tak nahin aaya
kahin aisa na ho ye chaaragar KHamosh ho jaen
tilism-e-be-yaqini har qadam par gher leta hai
na jaane dhaDkanen kis moD par KHamosh ho jaen
agar be-chehra aaine ko chehra de nahin sakte
to sare shahr ke aaina-gar KHamosh ho jaen
zamin se be-wafai mat karo warna ye mumkin hai
ki shaKHen kaT rahi hon aur shajar KHamosh ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.