agar hawaon ke ruKH mehrban nahin hote
agar havāoñ ke ruḳh mehrbāñ nahīñ hote
to bujhtī aag ke tevar javāñ nahīñ hote
diloñ pe barf jamī hai laboñ pe sahrā hai
kahīñ ḳhulūs ke jharne ravāñ nahīñ hote
ham is zamīn ko ashkoñ se sabz karte haiñ
ye vo chaman hai jahāñ bāġhbāñ nahīñ hote
kahāñ nahīñ haiñ hamāre bhī ḳhair-ḳhvāh magar
jahāñ guhār lagāo vahāñ nahīñ hote
idhar to aañkh barastī hai dil dhaḌaktā hai
ye sānehāt tumhāre yahāñ nahīñ hote
vafā kā zikr chalāyā to hañs ke bole vo
fuzūl kaam hamāre yahāñ nahīñ hote
agar hawaon ke ruKH mehrban nahin hote
to bujhti aag ke tewar jawan nahin hote
dilon pe barf jami hai labon pe sahra hai
kahin KHulus ke jharne rawan nahin hote
hum is zamin ko ashkon se sabz karte hain
ye wo chaman hai jahan baghban nahin hote
kahan nahin hain hamare bhi KHair-KHwah magar
jahan guhaar lagao wahan nahin hote
idhar to aankh barasti hai dil dhaDakta hai
ye sanehat tumhaare yahan nahin hote
wafa ka zikr chalaya to hans ke bole wo
fuzul kaam hamare yahan nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.