agar himmat jawan ho shadmani DhunD leti hai
agar himmat javāñ ho shādmānī DhūñD letī hai
zarūrat tapte sahrā meñ bhī paanī DhūñD letī hai
kisī rangīn manzar tak rasā.ī jab nahīñ hotī
nazar afsurda manzar meñ javānī DhūñD letī hai
hadoñ se baḌhne lagtī hai ghuTan jab dīda-o-dil kī
tarīqa guftugū kā be-zabānī DhūñD letī hai
numā.ish dil ke zaḳhmoñ kī chalo dillī meñ karte haiñ
sunā hai qātiloñ ko rājdhānī DhūñD letī hai
masā.il kā kabhī hal DhūñDne par bhī nahīñ miltā
masā.il kā kabhī hal zindagānī DhūñD letī hai
kisī ko qissa-e-dil jab sunānā chāhtā huuñ maiñ
bahāne be-ruḳhī ke bad-gumānī DhūñD letī hai
koī uftād jab bhī TūTtī hai zindagānī par
mujhī ko kyoñ barā-e-nauha-ḳhvānī DhūñD letī hai
haqīqat se agar rishta ho us kā to 'kamāl-anvar'
ḳhud apne paḌhne vāloñ ko kahānī DhūñD letī hai
agar himmat jawan ho shadmani DhunD leti hai
zarurat tapte sahra mein bhi pani DhunD leti hai
kisi rangin manzar tak rasai jab nahin hoti
nazar afsurda manzar mein jawani DhunD leti hai
hadon se baDhne lagti hai ghuTan jab dida-o-dil ki
tariqa guftugu ka be-zabani DhunD leti hai
numaish dil ke zaKHmon ki chalo dilli mein karte hain
suna hai qatilon ko rajdhani DhunD leti hai
masail ka kabhi hal DhunDne par bhi nahin milta
masail ka kabhi hal zindagani DhunD leti hai
kisi ko qissa-e-dil jab sunana chahta hun main
bahane be-ruKHi ke bad-gumani DhunD leti hai
koi uftad jab bhi TuTti hai zindagani par
mujhi ko kyon bara-e-nauha-KHwani DhunD leti hai
haqiqat se agar rishta ho us ka to 'kamal-anwar'
KHud apne paDhne walon ko kahani DhunD leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.