agar ho diwar-o-dar salamat to ghar salamat
agar ho dīvār-o-dar salāmat to ghar salāmat
ho ghar kī buniyād gar salāmat to ghar salāmat
guzar añdheroñ kā hone paa.e kabhī makāñ meñ
ho sham.a jab taaq par salāmat to ghar salāmat
na choroñ kā Dar na koī ḳhatra ho dākuoñ kā
agar ho mazbūt dar salāmat to ghar salāmat
hai ghar kī raunaq to baal bachchoñ ke shor-o-ġhul se
ho jin ke nūr-e-nazar salāmat to ghar salāmat
na be-gharī kā ḳhayāl 'merāj' dil meñ aa.e
hoñ sar-parastoñ ke sar salāmat to ghar salāmat
agar ho diwar-o-dar salamat to ghar salamat
ho ghar ki buniyaad gar salamat to ghar salamat
guzar andheron ka hone pae kabhi makan mein
ho shama jab taq par salamat to ghar salamat
na choron ka Dar na koi KHatra ho dakuon ka
agar ho mazbut dar salamat to ghar salamat
hai ghar ki raunaq to baal bachchon ke shor-o-ghul se
ho jin ke nur-e-nazar salamat to ghar salamat
na be-ghari ka KHayal 'meraj' dil mein aae
hon sar-paraston ke sar salamat to ghar salamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.