agar ho gham ki gahrai se milna
agar ho ġham kī gahrā.ī se milnā
to aa ke merī tanhā.ī se milnā
use milnā to yuuñ milnā ki jaise
kisī pastī kā ūñchā.ī se milnā
vo mujh se bār-hā aise milā hai
mahak kā jaise purvā.ī se milnā
bahut hī zo'm hai qaus-e-quzah gar
to jā ke us kī añgḌā.ī se milnā
vo kamsin hai magar sab jāntā hai
agar milnā to dānā.ī se milnā
tumhāre ġham meñ ghultā jā rahā hai
kabhī 'tauqīr-chuġhtā.ī’ se milnā
agar ho gham ki gahrai se milna
to aa ke meri tanhai se milna
use milna to yun milna ki jaise
kisi pasti ka unchai se milna
wo mujh se bar-ha aise mila hai
mahak ka jaise purwai se milna
bahut hi zo'm hai qaus-e-quzah gar
to ja ke us ki angDai se milna
wo kamsin hai magar sab jaanta hai
agar milna to danai se milna
tumhaare gham mein ghulta ja raha hai
kabhi 'tauqir-chughtai’ se milna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.