agar ho zarf se Khaali to kya rakkha hai dariya mein
agar ho zarf se ḳhālī to kyā rakkhā hai dariyā meñ
samundar ko bhī maiñ ne Dūbte dekhā hai qatra meñ
ujāle DhūñDne vaale ujāle DhūñD lete haiñ
añdherā hai magar kuchh raushnī ab bhī hai duniyā meñ
jo haa.il rāste meñ haiñ vo parbat Duub jā.eñge
tire ġham ke samundar meñ mire aañsū ke dariyā meñ
hazāroñ phuul meñ ham bhī to haiñ ik phuul hī lekin
hamāre baad ye ḳhushbū na mil pā.egī duniyā meñ
badan-sāgar meñ utreñ kashtiyāñ kyā merī āñkhoñ kī
talātum aur baḌhtā jā rahā hai mauj-e-dariyā meñ
sitāre chāñd sūraj kahkashāñ bhī ḳhūbsūrat haiñ
magar kuchh baat hai jānam tire husn-e-sarāpā meñ
'fahīm' un ko mirā tarz-e-bayāñ achchhā nahīñ lagtā
rivāyat saañs letī hai mire ash.ār-e-tāza meñ
agar ho zarf se KHali to kya rakkha hai dariya mein
samundar ko bhi main ne Dubte dekha hai qatra mein
ujale DhunDne wale ujale DhunD lete hain
andhera hai magar kuchh raushni ab bhi hai duniya mein
jo hail raste mein hain wo parbat Dub jaenge
tere gham ke samundar mein mere aansu ke dariya mein
hazaron phul mein hum bhi to hain ek phul hi lekin
hamare baad ye KHushbu na mil paegi duniya mein
badan-sagar mein utren kashtiyan kya meri aankhon ki
talatum aur baDhta ja raha hai mauj-e-dariya mein
sitare chand suraj kahkashan bhi KHubsurat hain
magar kuchh baat hai jaanam tere husn-e-sarapa mein
'fahim' un ko mera tarz-e-bayan achchha nahin lagta
riwayat sans leti hai mere ashaar-e-taza mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.