agar hotin na un se chaar aankhen
agar hotīñ na un se chaar āñkheñ
to yuuñ bantīñ na mātam-dār āñkheñ
na karnā band ai bīmār āñkheñ
khulī rakhnā pa-e-dīdār āñkheñ
huiiñ saaqī se jis dam chaar āñkheñ
hamārī ho ga.iiñ sarshār āñkheñ
dil-e-shaidā ḳhayāloñ kā muraqqā
tasavvur kī alam-bardār āñkheñ
banāeñgī mire dil ko bhī bīmār
qayāmat haiñ tirī bīmār āñkheñ
nigāh-e-shauq har-sū phir rahī hai
banī haiñ ġhairat-e-parkār āñkheñ
na aa.e hosh mujh ko maiñ jo dekhūñ
kisī hushiyār kī hushiyār āñkheñ
udhar nāz-o-adā ġhārat-gar-e-hosh
idhar lene ko dil tayyār āñkheñ
tire ghar meñ tirā naqsh-e-qadam bhī
dikhātā hai mujhe har baar āñkheñ
tirī vahdat kā dil ā.īna-ḳhāna
haqīqat se haiñ vāqif-kār āñkheñ
tumhārī diid o ulfat kā maza aa.e
jo hoñ do-chār dil do-chār āñkheñ
tirī nīchī nigāheñ kah rahī haiñ
hayā kī haiñ amānat-dār āñkheñ
tire qad par tire husn-o-adā par
fidā sau baar dil sau baar āñkheñ
haqīqat meñ ye hissa hai unhīñ kā
banī haiñ husn kī haqdār āñkheñ
dil-e-shaidā shahādat de vafā kī
mohabbat kā kareñ iqrār āñkheñ
sa.mbhālo josh-e-ashk-e-ġham ko 'hāmid'
na kar deñ ishq kā iz.hār āñkheñ
agar hotin na un se chaar aankhen
to yun bantin na matam-dar aankhen
na karna band ai bimar aankhen
khuli rakhna pa-e-didar aankhen
huin saqi se jis dam chaar aankhen
hamari ho gain sarshaar aankhen
dil-e-shaida KHayalon ka muraqqa
tasawwur ki alam-bardar aankhen
banaengi mere dil ko bhi bimar
qayamat hain teri bimar aankhen
nigah-e-shauq har-su phir rahi hai
bani hain ghairat-e-parkar aankhen
na aae hosh mujh ko main jo dekhun
kisi hushiyar ki hushiyar aankhen
udhar naz-o-ada ghaarat-gar-e-hosh
idhar lene ko dil tayyar aankhen
tere ghar mein tera naqsh-e-qadam bhi
dikhata hai mujhe har bar aankhen
teri wahdat ka dil aaina-KHana
haqiqat se hain waqif-kar aankhen
tumhaari did o ulfat ka maza aae
jo hon do-chaar dil do-chaar aankhen
teri nichi nigahen kah rahi hain
haya ki hain amanat-dar aankhen
tere qad par tere husn-o-ada par
fida sau bar dil sau bar aankhen
haqiqat mein ye hissa hai unhin ka
bani hain husn ki haqdar aankhen
dil-e-shaida shahadat de wafa ki
mohabbat ka karen iqrar aankhen
sambhaalo josh-e-ashk-e-gham ko 'hamid'
na kar den ishq ka izhaar aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.