Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae

Obaid Siddiqi

agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae

Obaid Siddiqi

MORE BYObaid Siddiqi

    agar is shahr aab o havā tabdīl ho jaa.e

    to phir sab kuchh ba-juz nām-e-ḳhudā tabdīl ho jaa.e

    mire hone ne duniyā meñ sabhī kuchh to badal Daalā

    mujhe batā ab aur kyā tabdīl ho jaa.e

    mujhe is ḳhabar tak bhī na hone paa.e aur ik din

    safar ke darmiyāñ yuuñ rāsta tabdīl ho jaa.e

    ajab ḳhvāhish hai sar se āsmāñ saaya uTh jaa.e

    zamīñ āb-e-ravāñ meñ zer-e-pā tabdīl ho jaa.e

    tilism-e-ḳhvāb se āñkheñ agar āzād ho jaa.eñ

    to zinda rahne saarā maza tabdīl ho jaa.e

    agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae

    to phir sab kuchh ba-juz nam-e-KHuda tabdil ho jae

    mere hone ne duniya mein sabhi kuchh to badal Dala

    mujhe tu hi bata ab aur kya tabdil ho jae

    mujhe is ki KHabar tak bhi na hone pae aur ek din

    safar ke darmiyan yun rasta tabdil ho jae

    ajab KHwahish hai sar se aasman ka saya uTh jae

    zamin aab-e-rawan mein zer-e-pa tabdil ho jae

    tilism-e-KHwab se aankhen agar aazad ho jaen

    to zinda rahne ka sara maza tabdil ho jae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Obaid Siddiqi

    Obaid Siddiqi

    RECITATIONS

    Obaid Siddiqi

    Obaid Siddiqi,

    Obaid Siddiqi

    agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae Obaid Siddiqi

    Source :
    • Book : rang-e- hava main phal raha hai (Pg. 203)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now