agar izzat mile to sar takabbur se uThana mat
agar izzat mile to sar takabbur se uThānā mat
kisī kī ḳhaak ko tum apne pairoñ se uḌānā mat
ye nafrat bhī mohabbat kā purānā ruup lagtī hai
mohabbat ruup badle to kabhī dhoke meñ aanā mat
agar ye ban gayā to phir tumheñ hī baañT khā.egā
jo dariyā ishq kā hai us pe koī ghar banānā mat
buzurgoñ ne kahā hai ye hamesha jhuk ke chalnā tum
magar majnūñ ye kahtā he kabhī sar ko jhukānā mat
ye pardesī yahāñ par muddatoñ ke baad aa.e haiñ
mohabbat se inheñ milnā kabhī in ko satānā mat
mohabbat kī vo taḳhtī jis pe apne naam likkhe the
ise rakhnā muqaddam tum kabhī is ko miTānā mat
mohabbat farz hai aur tum bhī puurā farz kar lenā
diyā hai ye mazāroñ kā kabhī is ko bujhānā mat
virāsat meñ mirā hissa bhale bhaa.ī tū rakh lenā
amānat hai ye purkhoñ kī kabhī is ko gañvānā mat
isī gaañv kī miTTī se milā hai ham ko ye rutba
kabhī shahroñ meñ apnā ghar mire beTe basānā mat
duā jaisā asar hotā hai 'nāsir' badduā meñ bhī
kisī sūrat bhī duniyā meñ kisī kā dil dukhānā mat
agar izzat mile to sar takabbur se uThana mat
kisi ki KHak ko tum apne pairon se uDana mat
ye nafrat bhi mohabbat ka purana rup lagti hai
mohabbat rup badle to kabhi dhoke mein aana mat
agar ye ban gaya to phir tumhein hi banT khaega
jo dariya ishq ka hai us pe koi ghar banana mat
buzurgon ne kaha hai ye hamesha jhuk ke chalna tum
magar majnun ye kahta he kabhi sar ko jhukana mat
ye pardesi yahan par muddaton ke baad aae hain
mohabbat se inhen milna kabhi in ko satana mat
mohabbat ki wo taKHti jis pe apne nam likkhe the
ise rakhna muqaddam tum kabhi is ko miTana mat
mohabbat farz hai aur tum bhi pura farz kar lena
diya hai ye mazaron ka kabhi is ko bujhana mat
wirasat mein mera hissa bhale bhai tu rakh lena
amanat hai ye purkhon ki kabhi is ko ganwana mat
isi ganw ki miTTi se mila hai hum ko ye rutba
kabhi shahron mein apna ghar mere beTe basana mat
dua jaisa asar hota hai 'nasir' baddua mein bhi
kisi surat bhi duniya mein kisi ka dil dukhana mat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.