agar jafa hai gunah wo gunahgar bana
agar jafā hai gunah vo gunāhgār banā
maiñ bas vafā ke amal meñ sharīk-e-kār banā
yahī hamārī aqīdat kī intihā hai miyāñ
jahāñ charāġh jalāyā vahāñ mazār banā
vo bad-nasīb hai is vaqt mujh ko chhoḌ ga.ī
jab us ke gird mohabbat kā ik hisār banā
vo jis ne mere liye mushkileñ khaḌī kī thiiñ
vahī hujūm-e-havādis kā ḳhud shikār banā
mujhe vo sauñp gayā hijr-e-bād-e-sar-sar kyoñ
usī ke dam se ye mausam thā ḳhush-gavār banā
sabhī kī tarah karo tum bhī is pe mashq-e-sitam
ye dil to TuuT ke pahle bhī baar baar banā
suno baġhaur kisī roz 'āftāb'-e-suḳhan
vo shā.erī ke taqaddus kā e.atibār banā
agar jafa hai gunah wo gunahgar bana
main bas wafa ke amal mein sharik-e-kar bana
yahi hamari aqidat ki intiha hai miyan
jahan charagh jalaya wahan mazar bana
wo bad-nasib hai is waqt mujh ko chhoD gai
jab us ke gird mohabbat ka ek hisar bana
wo jis ne mere liye mushkilen khaDi ki thin
wahi hujum-e-hawadis ka KHud shikar bana
mujhe wo saunp gaya hijr-e-baad-e-sar-sar kyon
usi ke dam se ye mausam tha KHush-gawar bana
sabhi ki tarah karo tum bhi is pe mashq-e-sitam
ye dil to TuT ke pahle bhi bar bar bana
suno baghaur kisi roz 'aftab'-e-suKHan
wo shaeri ke taqaddus ka eatibar bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.