agar jahan mein KHuda ke siwa kuchh aur nahin
agar jahāñ meñ ḳhudā ke sivā kuchh aur nahīñ
to phir nasīb duā ke sivā kuchh aur nahīñ
hamāre paas hamārā zamīr hai logo
tumhāre paas anā ke sivā kuchh aur nahīñ
kabhī vafā thī mohabbat meñ aur ḳhulūs bhī thā
hayāt aaj jafā ke sivā kuchh aur nahīñ
vo ḳhud hī kahte haiñ aur ḳhud hī sunte rahte haiñ
ki un ke paas sadā ke sivā kuchh aur nahīñ
vo zeb-tan kiye kamḳhāb-o-resham-o-atlas
hameñ nasīb ridā ke sivā kuchh aur nahīñ
agar jahan mein KHuda ke siwa kuchh aur nahin
to phir nasib dua ke siwa kuchh aur nahin
hamare pas hamara zamir hai logo
tumhaare pas ana ke siwa kuchh aur nahin
kabhi wafa thi mohabbat mein aur KHulus bhi tha
hayat aaj jafa ke siwa kuchh aur nahin
wo KHud hi kahte hain aur KHud hi sunte rahte hain
ki un ke pas sada ke siwa kuchh aur nahin
wo zeb-tan kiye kamKHab-o-resham-o-atlas
hamein nasib rida ke siwa kuchh aur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.