agar kahin sitam-e-rozgar guzrega
agar kahīñ sitam-e-rozgār guzregā
jo ahl-e-dil hai vahī be-qarār guzregā
qabā-e-nāz se jhaTkā gayā to kyā ġham hai
mirā ġhubār sar-e-kū-e-yār guzregā
kabhī to mehr-o-mohabbat kī raushnī hogī
kabhī to daur-e-shab-e-intizār guzregā
jahāñ ḳhulūs-o-mohabbat ke gulsitāñ hoñge
vahīñ se qāfila-e-nau-bahār guzregā
maiñ un se hāl-e-dil-e-zār kah to duuñ 'tasnīm'
kisī kisī ko bahut nāgavār guzregā
agar kahin sitam-e-rozgar guzrega
jo ahl-e-dil hai wahi be-qarar guzrega
qaba-e-naz se jhaTka gaya to kya gham hai
mera ghubar sar-e-ku-e-yar guzrega
kabhi to mehr-o-mohabbat ki raushni hogi
kabhi to daur-e-shab-e-intizar guzrega
jahan KHulus-o-mohabbat ke gulsitan honge
wahin se qafila-e-nau-bahaar guzrega
main un se haal-e-dil-e-zar kah to dun 'tasnim'
kisi kisi ko bahut nagawar guzrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.