agar karo to karo guftugu ishaare se
agar karo to karo guftugū ishāre se
banāo 'aks mirā hū-ba-hū ishāre se
ham apnā sar na kaTāte to aur kyā karte
charāġh maañg rahe the lahū ishāre se
bhaTakte phirte the ham dar-ba-dar zamāne meñ
kisī ne kar diyā phir surḳh-rū ishāre se
ham intizār meñ baiThe haiñ ek muddat se
kabhī qarīb bulā.egā tū ishāre se
agar karo to karo guftugu ishaare se
banao 'aks mera hu-ba-hu ishaare se
hum apna sar na kaTate to aur kya karte
charagh mang rahe the lahu ishaare se
bhaTakte phirte the hum dar-ba-dar zamane mein
kisi ne kar diya phir surKH-ru ishaare se
hum intizar mein baiThe hain ek muddat se
kabhi qarib bulaega tu ishaare se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.