agar kinare pe Therne ki jagah nahin hai
agar kināre pe Therne kī jagah nahīñ hai
to us safīne se achchhī koī jagah nahīñ hai
jo ho sake to abhī se sāmān bāñdh liije
vo ḳhud na kah de yahāñ par itnī jagah nahīñ hai
tire barābar meñ rahne vaale to kahte hoñge
ki is zamīñ par kahīñ bhī aisī jagah nahīñ hai
to kyuuñ na ḳhāmosh rah ke hamdardiyāñ sameTeñ
use pata hai ki ye hamārī jagah nahīñ hai
ye kaise dil meñ baserā karne ko aa ga.e ham
ki jis ke atrāf meñ bhī ḳhālī jagah nahīñ hai
agar kinare pe Therne ki jagah nahin hai
to us safine se achchhi koi jagah nahin hai
jo ho sake to abhi se saman bandh lije
wo KHud na kah de yahan par itni jagah nahin hai
tere barabar mein rahne wale to kahte honge
ki is zamin par kahin bhi aisi jagah nahin hai
to kyun na KHamosh rah ke hamdardiyan sameTen
use pata hai ki ye hamari jagah nahin hai
ye kaise dil mein basera karne ko aa gae hum
ki jis ke atraf mein bhi KHali jagah nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.