agar kuchh sikhna hai zindagi se
agar kuchh sīkhnā hai zindagī se
chalo āġhāz kar leñ aaj hī se
bahut majbūr kar detī hai duniyā
koī martā nahīñ apnī ḳhushī se
hameñ bhī ḳhaak honā hai sahar tak
lipaT jā.eñge ham bhī raushnī se
nadī kī 'azmateñ taslīm lekin
nadī haarī huī hai tishnagī se
bahut ehsān hai urdu zabāñ kā
bahut 'izzat milī hai shā'irī se
agar kuchh sikhna hai zindagi se
chalo aaghaz kar len aaj hi se
bahut majbur kar deti hai duniya
koi marta nahin apni KHushi se
hamein bhi KHak hona hai sahar tak
lipaT jaenge hum bhi raushni se
nadi ki 'azmaten taslim lekin
nadi haari hui hai tishnagi se
bahut ehsan hai urdu zaban ka
bahut 'izzat mili hai sha'iri se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.