agar kuchh thi to bas ye thi tamanna aaKHiri apni
agar kuchh thī to bas ye thī tamannā āḳhirī apnī
ki vo sāhil pe hote aur kashtī Dūbtī apnī
hameñ to shām-e-ġham meñ kāTnī hai zindagī apnī
jahāñ vo hoñ vahīñ ai chāñd le jā chāñdnī apnī
na hai ye iztirāb apnā na hai ye be-ḳhudī apnī
tirī mahfil meñ shāyad bhuul aayā zindagī apnī
vahīñ chaliye vahīñ chaliye mohabbat kā taqāza hai
vo mahfil haa.e jis mahfil meñ duniyā luT ga.ī apnī
munāsib ho to ai zālim ghaḌī bhar ke liye aa jā
bujhānā hai tire dāman se shām-e-zindagī apnī
agar kuchh thi to bas ye thi tamanna aaKHiri apni
ki wo sahil pe hote aur kashti Dubti apni
hamein to sham-e-gham mein kaTni hai zindagi apni
jahan wo hon wahin ai chand le ja chandni apni
na hai ye iztirab apna na hai ye be-KHudi apni
teri mahfil mein shayad bhul aaya zindagi apni
wahin chaliye wahin chaliye mohabbat ka taqaza hai
wo mahfil hae jis mahfil mein duniya luT gai apni
munasib ho to ai zalim ghaDi bhar ke liye aa ja
bujhana hai tere daman se sham-e-zindagi apni
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 285)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.