agar hai man likhna to qalam ka kar-KHana kyon
agar hai man' likhnā to qalam kā kār-ḳhāna kyoñ
agar hai man' paḌhnā to yahāñ kāġhaz banānā kyoñ
isī duniyā meñ behtar ik na.ī duniyā basāne ko
yahāñ tak aa ga.e haiñ to yahāñ se lauT jaanā kyoñ
vahāñ le kar hī kyoñ aayā jahāñ phislan hī phislan hai
ye jantā hī nahīñ samjhī tū raaja hai to maanā kyoñ
ka.ī barsoñ se is par hī bahas jaarī hai sansad meñ
jo bhejā ek ruupe thā to pahuñchā ek aanā kyoñ
tumheñ gar āsmāñ kī sair karnī thī to kar lete
kahīñ par bāḌh-sūkhe kā hī har dam yuuñ bahānā kyoñ
agar jangal ko phir se ek din jangal banānā thā
yahāñ aa kar shahr meñ phir banāyā āshiyānā kyoñ
agar hai man' likhna to qalam ka kar-KHana kyon
agar hai man' paDhna to yahan kaghaz banana kyon
isi duniya mein behtar ek nai duniya basane ko
yahan tak aa gae hain to yahan se lauT jaana kyon
wahan le kar hi kyon aaya jahan phislan hi phislan hai
ye janta hi nahin samjhi tu raja hai to mana kyon
kai barson se is par hi bahas jari hai sansad mein
jo bheja ek rupe tha to pahuncha ek aana kyon
tumhein gar aasman ki sair karni thi to kar lete
kahin par baDh-sukhe ka hi har dam yun bahana kyon
agar jangal ko phir se ek din jangal banana tha
yahan aa kar shahr mein phir banaya aashiyana kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.