agar main moajize ko KHaksari ke ayan karta
agar maiñ mo.ajize ko ḳhāksārī ke ayaañ kartā
bagūle sā banā aur hī zamīñ o āsmāñ kartā
mujhe haq gulshan-e-ījād kā gar bāġhbāñ kartā
to ashk-e-bulbuloñ ko ābyār-e-gulsitāñ kartā
gila dil-e-saḳhtī-e-ahbāb kā gar maiñ bayāñ kartā
sadaf sā pal meñ aañsū uqda-e-dil ke ravāñ kartā
jo dīvān-e-qazā kī peshkārī haq mujhe detā
to reshe sarv ke mizhgān-e-chashm-e-qumriyāñ kartā
ḳhudā gar ḳhāna sāmān-e-qazā kartā ye 'uzlat' ko
to parvānoñ kī raakh ai sham' sub.h-e-āsmāñ kartā
agar main moajize ko KHaksari ke ayan karta
bagule sa bana aur hi zamin o aasman karta
mujhe haq gulshan-e-ijad ka gar baghban karta
to ashk-e-bulbulon ko aabyar-e-gulsitan karta
gila dil-e-saKHti-e-ahbab ka gar main bayan karta
sadaf sa pal mein aansu uqda-e-dil ke rawan karta
jo diwan-e-qaza ki peshkari haq mujhe deta
to reshe sarw ke mizhgan-e-chashm-e-qumriyan karta
KHuda gar KHana saman-e-qaza karta ye 'uzlat' ko
to parwanon ki rakh ai sham' subh-e-asman karta
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.