agar majbur haft-aflak hota
agar majbūr haft-aflāk hotā
hamārī tarah tū bhī ḳhaak hotā
zamīñ tārīk rahtī aur sūraj
hamāre jism kī poshāk hotā
kahīñ is dāstāñ aur ḳhvāb ke beach
tirā malbūs gul bhī chaak hotā
ham apnā fā.eda bhī soch lete
agar nuqsān kā idrāk hotā
zarā mausam badaltā aur phir to
hamāre hijr meñ namnāk hotā
agar majbur haft-aflak hota
hamari tarah tu bhi KHak hota
zamin tarik rahti aur suraj
hamare jism ki poshak hota
kahin is dastan aur KHwab ke beach
tera malbus gul bhi chaak hota
hum apna faeda bhi soch lete
agar nuqsan ka idrak hota
zara mausam badalta aur phir to
hamare hijr mein namnak hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.