agar mizaj hi mein gard gard hona tha
agar mizāj hī meñ gard gard honā thā
to phir janāb ko sahrā-navard honā thā
use pasand bahut niile vaale patthar haiñ
mujhe aqiiq nahīñ lāj-vard honā thā
tumheñ ye shahr basāne kī kyā zarūrat thī
tumheñ to apne qabīle kā fard honā thā
ye ek soch musalsal jalā rahī thī mujhe
mire ḳhayāl ke mausam ko sard honā thā
'sahar' nahīñ thā koī aur dūsrā rasta
havas kī aag se jismoñ ko zard honā thā
agar mizaj hi mein gard gard hona tha
to phir janab ko sahra-naward hona tha
use pasand bahut nile wale patthar hain
mujhe aqiq nahin laj-ward hona tha
tumhein ye shahr basane ki kya zarurat thi
tumhein to apne qabile ka fard hona tha
ye ek soch musalsal jala rahi thi mujhe
mere KHayal ke mausam ko sard hona tha
'sahar' nahin tha koi aur dusra rasta
hawas ki aag se jismon ko zard hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.