agar na dard se is dil ko aashna karte
agar na dard se is dil ko āshnā karte
ġham-e-hayāt kā kis tarah tajziyā karte
ḳhudā-na-ḳhvāsta kashtī jo Dūbne lagtī
sivā ḳhudā ke bhalā kyā ye nāḳhudā karte
ajab nahīñ thā ki aa jaatā hosh meñ bīmār
qarīb aa ke jo dāman se vo havā karte
kaTī tasavvur-e-hūrān-e-ḳhuld meñ jin kī
hamāre un ke bhalā kyā vo tasfiya karte
ham aise riñd pas-e-marg bhī vahāñ jaate
na piinā jurm ho hukaman jahāñ piyā karte
saḳhī ke sāmne phaile hue haiñ jin ke haath
ham aise logoñ se kyā arz-e-mudda.ā karte
ye dard-e-dil to hai is zindagī kā mutarādif
maraz agar koī hotā to kuchh davā karte
na hote dil se jo majbūr kar ke tark-e-vafā
use bhī ham zarā taḌpā ke tajraba karte
tunak-mizājī-e-ḳhūbāñ kā gar patā hotā
manāte phir unheñ pahle to ham ḳhafā karte
ga.e haiñ dair-o-haram ho ke lā-makāñ kī taraf
qayām rahrav-e-manzil yuuñ jā-ba-jā karte
uThāyā maslahatan ham ne ḳhuun kā da.avā
kisī kī aañkh sar-e-hashr nīchī kyā karte
na pās-e-laġhzish-e-ādam agar hameñ hotā
ilaaj terā bhī ai dev-e-ishtihā karte
na hotī apne parā.e kī phir hameñ tam.īz
daġhā na mil ke agar yaar āshnā karte
niyāz-o-nāz na yuuñ hote lāzim-o-malzūm
na yuuñ kisī ke ishāroñ pe ham chalā karte
darūn-e-dil kī sadā hai magar ġhazal 'māhir'
ki sher sher pe sāme.a haiñ vāh-vā karte
agar na dard se is dil ko aashna karte
gham-e-hayat ka kis tarah tajziya karte
KHuda-na-KHwasta kashti jo Dubne lagti
siwa KHuda ke bhala kya ye naKHuda karte
ajab nahin tha ki aa jata hosh mein bimar
qarib aa ke jo daman se wo hawa karte
kaTi tasawwur-e-huran-e-KHuld mein jin ki
hamare un ke bhala kya wo tasfiya karte
hum aise rind pas-e-marg bhi wahan jate
na pina jurm ho hukaman jahan piya karte
saKHi ke samne phaile hue hain jin ke hath
hum aise logon se kya arz-e-muddaa karte
ye dard-e-dil to hai is zindagi ka mutaradif
maraz agar koi hota to kuchh dawa karte
na hote dil se jo majbur kar ke tark-e-wafa
use bhi hum zara taDpa ke tajraba karte
tunak-mizaji-e-KHuban ka gar pata hota
manate phir unhen pahle to hum KHafa karte
gae hain dair-o-haram ho ke la-makan ki taraf
qayam rahraw-e-manzil yun ja-ba-ja karte
uThaya maslahatan hum ne KHun ka dawa
kisi ki aankh sar-e-hashr nichi kya karte
na pas-e-laghzish-e-adam agar hamein hota
ilaj tera bhi ai dew-e-ishtiha karte
na hoti apne parae ki phir hamein tamiz
dagha na mil ke agar yar aashna karte
niyaz-o-naz na yun hote lazim-o-malzum
na yun kisi ke ishaaron pe hum chala karte
darun-e-dil ki sada hai magar ghazal 'mahir'
ki sher sher pe samea hain wah-wa karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.