agar na dete ye jaan aap par to kya karte
agar na dete ye jaan aap par to kyā karte
ki aap hī hameñ phir bevafā kahā karte
luTā.e sajde tirā naqsh-e-pā jahāñ bhī milā
namāz-e-ishq bhalā kaise ham qazā karte
nasīb saaya tire gesuoñ kā hotā agar
ba-yak-nafas shab-e-ġham radd-e-har-balā karte
umīd-e-lutf-o-karam hī ne ham ko mast rakhā
huī hai umr tamām ik yahī nasha karte
hai aap jī to raqīboñ se 'barq' mahfil meñ
mujhe vo tū kī jagah kahte haiñ sunā karte
agar na dete ye jaan aap par to kya karte
ki aap hi hamein phir bewafa kaha karte
luTae sajde tera naqsh-e-pa jahan bhi mila
namaz-e-ishq bhala kaise hum qaza karte
nasib saya tere gesuon ka hota agar
ba-yak-nafas shab-e-gham radd-e-har-bala karte
umid-e-lutf-o-karam hi ne hum ko mast rakha
hui hai umr tamam ek yahi nasha karte
hai aap ji to raqibon se 'barq' mahfil mein
mujhe wo tu ki jagah kahte hain suna karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.