agar na roen to aankhon pe bojh paDta hai
agar na ro.eñ to āñkhoñ pe bojh paḌtā hai
kareñ jo girya to rātoñ pe bojh paḌtā hai
parinde chhoḌ ke tanhā agar chale jaa.eñ
to phir daraḳht kī shāḳhoñ pe bojh paḌtā hai
ḳhatā-e-ishq ko ab sirf sochne bhar se
hamārī ruuh ke chhāloñ pe bojh paḌtā hai
ye chāñd kartā hai ārām jab amāvas meñ
siyāh raat meñ tāroñ pe bojh paḌtā hai
tum in ko ilm do lekin ye ehtiyāt rakho
ho bhārī basta to bachchoñ pe bojh paḌtā hai
sukūt itnā hameñ raas aa gayā hai ki ab
jo kuchh suneñ bhī to kānoñ pe bojh paḌtā hai
tumhārī yaad kī ujḌī huī havelī meñ
hai itnī dhuul ki sāñsoñ pe bojh paḌtā hai
ham is ḳhayāl se hijrat bhī kar nahīñ sakte
qadam baḌhā.eñ to rāhoñ pe bojh paḌtā hai
agar na roen to aankhon pe bojh paDta hai
karen jo girya to raaton pe bojh paDta hai
parinde chhoD ke tanha agar chale jaen
to phir daraKHt ki shaKHon pe bojh paDta hai
KHata-e-ishq ko ab sirf sochne bhar se
hamari ruh ke chhaalon pe bojh paDta hai
ye chand karta hai aaram jab amawas mein
siyah raat mein taron pe bojh paDta hai
tum in ko ilm do lekin ye ehtiyat rakho
ho bhaari basta to bachchon pe bojh paDta hai
sukut itna hamein ras aa gaya hai ki ab
jo kuchh sunen bhi to kanon pe bojh paDta hai
tumhaari yaad ki ujDi hui haweli mein
hai itni dhul ki sanson pe bojh paDta hai
hum is KHayal se hijrat bhi kar nahin sakte
qadam baDhaen to rahon pe bojh paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.