agar nachun nahin to panw mere ruTh jate hain
agar nāchūñ nahīñ to paañv mere ruuTh jaate haiñ
agar nāchūñ zarā khul ke to ghuñghrū TuuT jaate haiñ
zamāne kī adā.eñ dekh kar ye sochtā huuñ maiñ
vahāñ sach kyuuñ nahīñ jaate jahāñ tak chhūT jaate haiñ
jo mujh ko saath rakhnā hai zarā dhīre se tum chalnā
chalūñ maiñ tez to paañv ke chhāle phuuT jaate haiñ
kahāñ ruknā kahāñ chalnā zarūrī hai samajh varna
jinheñ paane ko ham dauḌeñ vo pīchhe chhūT jaate haiñ
vo mere dil kī sab bāteñ mujhī se jaan lete haiñ
hai un ke dil meñ kyā jab pūchhtā huuñ ruuTh jaate haiñ
bhale hī ḳhvāb kuchh dekho magar ye dhyān bhī rakhnā
haqīqat se agar hoñ duur sapne TuuT jaate haiñ
agar nachun nahin to panw mere ruTh jate hain
agar nachun zara khul ke to ghunghru TuT jate hain
zamane ki adaen dekh kar ye sochta hun main
wahan sach kyun nahin jate jahan tak chhuT jate hain
jo mujh ko sath rakhna hai zara dhire se tum chalna
chalun main tez to panw ke chhaale phuT jate hain
kahan rukna kahan chalna zaruri hai samajh warna
jinhen pane ko hum dauDen wo pichhe chhuT jate hain
wo mere dil ki sab baaten mujhi se jaan lete hain
hai un ke dil mein kya jab puchhta hun ruTh jate hain
bhale hi KHwab kuchh dekho magar ye dhyan bhi rakhna
haqiqat se agar hon dur sapne TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.