agar nahin hai ijazat sawal mat karna
agar nahīñ hai ijāzat savāl mat karnā
aur apne dil meñ ziyāda malāl mat karnā
nahīñ thī koī ḳhabar kyā hai ās-pās mire
maiñ apnī soch meñ gum thī ḳhayāl mat karnā
ḳhushī se guzre ye sab ke liye to achchhā hai
ye zindagī hai ise bhī vabāl mat karnā
'sabā' jo aa.egī mushkil vo hal bhī kar leñge
ḳhud apne vāste jiinā muhāl mat karnā
agar nahin hai ijazat sawal mat karna
aur apne dil mein ziyaada malal mat karna
nahin thi koi KHabar kya hai aas-pas mere
main apni soch mein gum thi KHayal mat karna
KHushi se guzre ye sab ke liye to achchha hai
ye zindagi hai ise bhi wabaal mat karna
'saba' jo aaegi mushkil wo hal bhi kar lenge
KHud apne waste jina muhaal mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.