agar nahin qasd ai zalim mere dil ke satane ka
agar nahīñ qasd ai zālim mire dil ke satāne kā
sabab kyā hai tujhe mujh se namāne se bahāne kā
huī muddat nahīñ tāqat mire dil kuuñ judā.ī kī
karam kar aa sajan yā fikr kar mere bulāne kā
shah-e-ḳhūbāñ mire ghar raat ko aayā hai ai mutrib
mirā dil shaad hai gā raag ai mutrib shahāne kā
na hove kyuuñ ke gardūñ pe sadā dil kī buland etī
hamārī aah hai Dañkā damāme ke bajāne kā
jabhī ho vasl hāñsī siiñ hisār-e-pairahan tab
tirā 'yakrū' tsunami hai nahīñ hargiz samāne kā
agar nahin qasd ai zalim mere dil ke satane ka
sabab kya hai tujhe mujh se namane se bahane ka
hui muddat nahin taqat mere dil kun judai ki
karam kar aa sajan ya fikr kar mere bulane ka
shah-e-KHuban mere ghar raat ko aaya hai ai mutrib
mera dil shad hai ga rag ai mutrib shahane ka
na howe kyun ke gardun pe sada dil ki buland eti
hamari aah hai Danka damame ke bajaane ka
jabhi ho wasl hansi sin hisar-e-pairahan tab
tera 'yakru' tsunami hai nahin hargiz samane ka
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 1)
- Author : Abdul Wahab yakro
- Publication : sara-e-road muzaffarpur (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.